*Muharram ki Fazilat* 🌙

Muharram Islam ka pehla mahina hai aur 4 "Hurmat wale mahinon" mein se ek hai. Is mahine ki fazilat Quran o Hadith dono se sabit hai.

*. Hurmat wala Mahina
Allah Ta'ala farmata hai: _"Saal mein 12 mahine hain... in mein se 4 mahine hurmat wale hain"_ [Surah Tauba: 36]
Muharram un 4 mahinon mein se hai. In mahinon mein gunah ka bojh zyada aur neki ka sawab bhi zyada hota hai.

*. Allah ka Mahina
Nabi  ne farmaya: _"Ramzan ke baad sab se afzal roze Allah ke mahine Muharram ke roze hain"_
Isi liye is mahine ko "Shahrullah" yani Allah ka mahina kaha jata hai.[Muslim]