*Qurbani ke Masail
*. Qurbani kis par wajib hai?*
- Har us baligh, aqil, muqeem Musalman par jo nisab ke barabar maal ka malik ho.
- Nisab ka matlab: 7.5 tola sona ya 52.5 tola chandi ya uske barabar cash/mal ho, aur qarz nikaal kar bhi bacha ho.
- Aurat par bhi wajib hai agar wo sahib-e-nisab ho.
*. Kis janwar ki qurbani hoti hai?*
- Bakra, bakri, bhedd, dumba: 1 saal ka hona chahiye. Bhedd 6 mahine ka ho aur bada lage to chal jayega.
- Gaaye, bhains: 2 saal ki.
- Oont: 5 saal ka.
- Ek bakra/bakri 1 shakhs ke liye. Gaaye, bhains, oont mein 7 hisson tak qurbani ho sakti hai